sardi garmi barkha tinon ek sath hi baste hain
sardī garmī barkhā tīnoñ ek saath hī baste haiñ
tere badan meñ vo jaadū hai saare mausam rahte haiñ
tere mere beach nahīñ hai ḳhuun kā rishta phir bhī kyuuñ
terī aañkh ke saare aañsū merī aañkh se bahte haiñ
ek zamāna biitā tere pyaar ke jañgal se nikle
yaad ke saañp to tanhā.ī meñ aaj bhī mujh ko Daste haiñ
va.ada kar ke bhuul bhī jaanā ye to terī aadat hai
maiñ hī nahīñ kahtā huuñ aisā log bhī aksar kahte haiñ
sardi garmi barkha tinon ek sath hi baste hain
tere badan mein wo jadu hai sare mausam rahte hain
tere mere beach nahin hai KHun ka rishta phir bhi kyun
teri aankh ke sare aansu meri aankh se bahte hain
ek zamana bita tere pyar ke jangal se nikle
yaad ke sanp to tanhai mein aaj bhi mujh ko Daste hain
wada kar ke bhul bhi jaana ye to teri aadat hai
main hi nahin kahta hun aisa log bhi aksar kahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.