sarguzisht apni raqam karte rahe
sarguzisht apnī raqam karte rahe
aap kahte aur ham karte rahe
bazm-e-sāqī se uThāne kī hameñ
koshisheñ duniyā ke ġham karte rahe
sub.h-o-shām-o-roz-o-shab allāh se
terī bāteñ ai sanam karte rahe
zindagī bhartī rahī jām-e-sifāl
ham use pī pī ke kam karte rahe
Dālte aañsū kisī par kyā asar
beshtar dāman hī nam karte rahe
be-bas-o-majbūr kar detā hai ishq
ham gavārā har sitam karte rahe
hañs ke Tarḳhānā kabhī bhūle nahīñ
vo hamesha ye karam karte rahe
sarguzisht apni raqam karte rahe
aap kahte aur hum karte rahe
bazm-e-saqi se uThane ki hamein
koshishen duniya ke gham karte rahe
subh-o-sham-o-roz-o-shab allah se
teri baaten ai sanam karte rahe
zindagi bharti rahi jam-e-sifal
hum use pi pi ke kam karte rahe
Dalte aansu kisi par kya asar
beshtar daman hi nam karte rahe
be-bas-o-majbur kar deta hai ishq
hum gawara har sitam karte rahe
hans ke TarKHana kabhi bhule nahin
wo hamesha ye karam karte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.