sarguzisht-e-gham ko mohtaj-e-bayan pata hun main
sarguzisht-e-ġham ko mohtāj-e-bayāñ paatā huuñ maiñ
kyoñ zabān-e-shauq ko ab be-zabāñ paatā huuñ maiñ
hai vahī kaifiyyat-e-be-tābī-e-mauj-e-nazar
husn ke jalvoñ ko bahr-e-bekarāñ paatā huuñ maiñ
dāstān-e-ishq merī zīnat-e-kaun-o-makāñ
jis ke kuchh TukḌe yahāñ aur kuchh vahāñ paatā huuñ maiñ
ishq ban kar kholtā huuñ husn ke sar-basta raaz
fitrat-e-ālam kā ḳhud ko tarjumāñ paatā huuñ maiñ
apnī hastī kā mujhe ehsās jab se ho chalā
sar ko apne dosh par bār-e-garāñ paatā huuñ maiñ
har shikast-e-ārzū hai tāza-tar tamhīd-e-shauq
aur kuchh ab apnī himmat ko javāñ paatā huuñ maiñ
ḳhizr-e-rah bantā chalā har sang-e-zer-e-pā mirā
Thokareñ khā khā ke manzil kā nishāñ paatā huuñ maiñ
māvarā-e-qaid-e-rang-o-bū hai imkān-e-nigāh
dāman-e-sahrā meñ husn-e-gulsitāñ paatā huuñ maiñ
kis qadar ūñchī hai 'najmī' merī parvāz-e-ḳhayāl
har zamīn-e-sher ko ab āsmāñ paatā huuñ maiñ
sarguzisht-e-gham ko mohtaj-e-bayan pata hun main
kyon zaban-e-shauq ko ab be-zaban pata hun main
hai wahi kaifiyyat-e-be-tabi-e-mauj-e-nazar
husn ke jalwon ko bahr-e-bekaran pata hun main
dastan-e-ishq meri zinat-e-kaun-o-makan
jis ke kuchh TukDe yahan aur kuchh wahan pata hun main
ishq ban kar kholta hun husn ke sar-basta raaz
fitrat-e-alam ka KHud ko tarjuman pata hun main
apni hasti ka mujhe ehsas jab se ho chala
sar ko apne dosh par bar-e-garan pata hun main
har shikast-e-arzu hai taza-tar tamhid-e-shauq
aur kuchh ab apni himmat ko jawan pata hun main
KHizr-e-rah banta chala har sang-e-zer-e-pa mera
Thokaren kha kha ke manzil ka nishan pata hun main
mawara-e-qaid-e-rang-o-bu hai imkan-e-nigah
daman-e-sahra mein husn-e-gulsitan pata hun main
kis qadar unchi hai 'najmi' meri parwaz-e-KHayal
har zamin-e-sher ko ab aasman pata hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.