sarhad ki amanat mein KHayanat nahin karte
sarhad ki amanat mein KHayanat nahin karte
Mohammad Mustahsan Jami
MORE BYMohammad Mustahsan Jami
sarhad kī amānat meñ ḳhayānat nahīñ karte
ham apne hī lashkar se baġhāvat nahīñ karte
sarsabz bahut sāloñ se rakkhā hai isī ne
ham yūñhī tire ġham kī kifālat nahīñ karte
ye apnī matā.a mānte haiñ ḳhāliq-e-kul ko
ahvāl pe dīvānoñ ke hairat nahīñ karte
kuchh misre bahut ḳhaas atā kartā hai mālik
kam-fahm kabhī itnī riyāzat nahīñ karte
har ek ko raas aatī nahīñ raushnī 'jāmī'
sab log charāġhoñ se mohabbat nahīñ karte
sarhad ki amanat mein KHayanat nahin karte
hum apne hi lashkar se baghawat nahin karte
sarsabz bahut salon se rakkha hai isi ne
hum yunhi tere gham ki kifalat nahin karte
ye apni mataa mante hain KHaliq-e-kul ko
ahwal pe diwanon ke hairat nahin karte
kuchh misre bahut KHas ata karta hai malik
kam-fahm kabhi itni riyazat nahin karte
har ek ko ras aati nahin raushni 'jami'
sab log charaghon se mohabbat nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.