sarisht-e-husn ka jalwa dikhae deta hai
sarisht-e-husn kā jalva dikhā.e detā hai
bhañvar ke biich bichhaḌne kī raa.e detā hai
tirī hañsī meñ vo sehr-e-ġhinā-e-mutrib hai
mirī fuġhāñ ko jo naġhma banā.e detā hai
kamāl-e-mā'rifat-e-'ishq kī bulandī par
ye kaun parda-e-ġhaibat uThā.e detā hai
usī ne husn-e-samā'at tumheñ diyā hogā
vahī jo ham ko suḳhanvar banā.e detā hai
ye kaisā shor-e-ḳhamoshī hai andarūñ mere
jo mere kaan ke parde uḌaa.e detā hai
vo merī ruuh kī takmīl kar chukā hai to phir
badan ye kis ko sadā.eñ lagā.e detā hai
tujhe ḳhabar hai unhīñ ke haiñ kausar-o-tasnīm
tū jin kī pyaas pe pahre biThā.e detā hai
qasīm-e-'ishq hai ulfat luTā luTā ke 'safar'
vujūd-e-nutfa-e-shar ko miTā.e detā hai
sarisht-e-husn ka jalwa dikhae deta hai
bhanwar ke bich bichhaDne ki rae deta hai
teri hansi mein wo sehr-e-ghina-e-mutrib hai
meri fughan ko jo naghma banae deta hai
kamal-e-ma'rifat-e-'ishq ki bulandi par
ye kaun parda-e-ghaibat uThae deta hai
usi ne husn-e-sama'at tumhein diya hoga
wahi jo hum ko suKHanwar banae deta hai
ye kaisa shor-e-KHamoshi hai andarun mere
jo mere kan ke parde uDae deta hai
wo meri ruh ki takmil kar chuka hai to phir
badan ye kis ko sadaen lagae deta hai
tujhe KHabar hai unhin ke hain kausar-o-tasnim
tu jin ki pyas pe pahre biThae deta hai
qasim-e-'ishq hai ulfat luTa luTa ke 'safar'
wujud-e-nutfa-e-shar ko miTae deta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.