sarkar mere ishq ka mear dekhna
sarkār mere ishq kā me.aar dekhnā
laayā huuñ aap ke liye maiñ kaar dekhnā
maiñ chhī.k chhī.k kar huā bīmār dekhnā
nisvār-e-va.az dete ho miqdār dekhnā
lākhoñ hue haiñ shahr meñ be-kār dekhnā
bāvar na ho to aaj kā aḳhbār dekhnā
arzāñ lage na dil mirā to ai mire aziiz
sau baar jā ke ishq kā bāzār dekhnā
kahtā hai kaun shaiḳh jī maġhrib pasand haiñ
patlūn chust ke tale shalvār dekhnā
'bulbul' ko choñch mārne aao to soch kar
talvār sī hai us kī bhī minqār dekhnā
sarkar mere ishq ka mear dekhna
laya hun aap ke liye main kar dekhna
main chhik chhik kar hua bimar dekhna
niswar-e-waz dete ho miqdar dekhna
lakhon hue hain shahr mein be-kar dekhna
bawar na ho to aaj ka aKHbar dekhna
arzan lage na dil mera to ai mere aziz
sau bar ja ke ishq ka bazar dekhna
kahta hai kaun shaiKH ji maghrib pasand hain
patlun chust ke tale shalwar dekhna
'bulbul' ko chonch marne aao to soch kar
talwar si hai us ki bhi minqar dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.