sarmaya-e-dil aur hai sarmaya-e-jaan aur
sarmāya-e-dil aur hai sarmāya-e-jāñ aur
ye ganj-e-nihāñ aur hai vo ganj-e-nihāñ aur
sahbā.ī-e-fitrat hai mah-o-mehr se maḳhmūr
har daur mubassir ko hai ik jām-e-ravāñ aur
jānāna agar jaañ se judā hai to kahāñ hai
ḳhud apne sivā DhūñDhne jā.ūñ maiñ kahāñ aur
mujh sā hī koī ho to vo samjhegā mirī baat
'sāhir' ke muqallid kā hai andāz-e-bayāñ aur
nā'ra hai anal-haq kā 'sahar' nā’ra-e-tauhīd
alfāz-o-ma’ānī haiñ judā tarz-e-bayāñ aur
sarmaya-e-dil aur hai sarmaya-e-jaan aur
ye ganj-e-nihan aur hai wo ganj-e-nihan aur
sahbai-e-fitrat hai mah-o-mehr se maKHmur
har daur mubassir ko hai ek jam-e-rawan aur
jaanana agar jaan se juda hai to kahan hai
KHud apne siwa DhunDhne jaun main kahan aur
mujh sa hi koi ho to wo samjhega meri baat
'sahir' ke muqallid ka hai andaz-e-bayan aur
na'ra hai anal-haq ka 'sahar' na’ra-e-tauhid
alfaz-o-ma’ani hain juda tarz-e-bayan aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.