saron ki fasl kaTi ja rahi hai
saroñ kī fasl kaaTī jā rahī hai
vo dekho surḳh āñdhī aa rahī hai
haTā lo sahn se kachche ghaḌoñ ko
kahīñ malhār sohnī gā rahī hai
mirī dastār kaise bach sakegī
qasam vo mere sar kī khā rahī hai
ye barsegī kahīñ par aur jā kar
ghaTā jo mere sar par chhā rahī hai
samajh rakkhā hai kyā dīvāngī ko
ye duniyā kyā hameñ samjhā rahī hai
tamannā jald marne kī hai ham ko
hayāt ab tak yūñhī bahlā rahī hai
saron ki fasl kaTi ja rahi hai
wo dekho surKH aandhi aa rahi hai
haTa lo sahn se kachche ghaDon ko
kahin malhaar sohni ga rahi hai
meri dastar kaise bach sakegi
qasam wo mere sar ki kha rahi hai
ye barsegi kahin par aur ja kar
ghaTa jo mere sar par chha rahi hai
samajh rakkha hai kya diwangi ko
ye duniya kya hamein samjha rahi hai
tamanna jald marne ki hai hum ko
hayat ab tak yunhi bahla rahi hai
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 322)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2010)
- Edition : 2010
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.