saron par taj rakkhe the qadam par taKHt rakkha tha
saroñ par taaj rakkhe the qadam par taḳht rakkhā thā
vo kaisā vaqt thā muTThī meñ saarā vaqt rakkhā thā
vo tanhā ḳhāksārī thī nibhāyā umr bhar us ne
mizāj-e-shāh-e-ālamgīr varna saḳht rakkhā thā
bahut sāmān thā ghar meñ bahut sī ne.amateñ bhī thiiñ
musāfir ne magar apnā safar be-raḳht rakkhā thā
gire the dhīre dhīre saare kañgūre zamāne ke
havelī meñ to ab ke lā-makāñ yak-laḳht rakkhā thā
maiñ sab ko chhoḌ kar duniyā tire raste pe aa jaatā
magar is rāste meñ bhī dil-e-kam-baḳht rakkhā thā
saron par taj rakkhe the qadam par taKHt rakkha tha
wo kaisa waqt tha muTThi mein sara waqt rakkha tha
wo tanha KHaksari thi nibhaya umr bhar us ne
mizaj-e-shah-e-alamgir warna saKHt rakkha tha
bahut saman tha ghar mein bahut si neamaten bhi thin
musafir ne magar apna safar be-raKHt rakkha tha
gire the dhire dhire sare kangure zamane ke
haweli mein to ab ke la-makan yak-laKHt rakkha tha
main sab ko chhoD kar duniya tere raste pe aa jata
magar is raste mein bhi dil-e-kam-baKHt rakkha tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.