sarsabz ye jangal chahat ka wo dasht-e-wafa hai viran bhi
sarsabz ye jangal chahat ka wo dasht-e-wafa hai viran bhi
athar shakeel
MORE BYathar shakeel
sarsabz ye jañgal chāhat kā vo dasht-e-vafā hai vīrāñ bhī
hai dil ko sukūñ bhī dekh ke ye aur zehn-e-rasā hai hairāñ bhī
ye bhī hai qarīna ik shāyad hastī meñ tavāzun rakhne kā
kuchh raaz ayaañ kar logoñ par kuchh haal magar rakh pinhāñ bhī
ik zarb anā ne zer-o-zabar kar Daalā mohabbat kā mehvar
ab us se panāh rab chāheñ the jis pe kabhī ham nāzāñ bhī
is daur-e-zehānat meñ jab jab dastūr-e-amāñ par baat huī
aayā hai kaTahre meñ aksar tab saath hamāre yazdāñ bhī
ik lahza sitam ik lamha karam ham par hai ye ehsāñ un kā sadā
raazī bhī huuñ ik saa.at meñ magar ho jaate haiñ pal meñ nālāñ bhī
hai aql samajhne se qāsir pahlū ye tamaddun kā ab tak
malbūs jahāñ haiñ mard bahut aurat hai vahīñ par uryāñ bhī
apnā to nahīñ kuchh logoñ ko ye dekh ke hairānī hai bahut
haiñ jis se gile-shikve bhī hameñ rahte haiñ usī par nāzāñ bhī
shā.ir haiñ amal ke maidāñ se kuchh duur to us meñ hairat kyuuñ
ġhazloñ kī zamīnoñ par un ko dekhoge bahut sargardāñ bhī
us se bhī pata chaltā hai ki haañ ḳhallāq-e-do-ālam hai koī
har shai hai alag pahchān liye ik nazm hai sab meñ yaksāñ bhī
ab ham meñ nahīñ vo josh-e-junūñ us meñ bhī nahīñ vo baat ki jo
rāhat kā sabab the dil ke liye jānāñ nahīñ zikr-e-jānāñ bhī
qismat ke añdhere meñ bhī rahī āñkhoñ meñ mirī ik kāhkashāñ
tārīk nahīñ kar paa.e kabhī ḳhvāboñ ko savād-e-zindāñ bhī
nafrat se mohabbat se aksar ham ne hī likhī taqdīr tirī
ham ne hī zamīn-e-gul tujh ko jannat bhī kiyā aur vīrāñ bhī
takrār-e-sitamgar se behtar ruḳhsat lo yahāñ se 'at.har'-jī
ye kaam to tum kar sakte ho ye kaam lage hai āsāñ bhī
sarsabz ye jangal chahat ka wo dasht-e-wafa hai viran bhi
hai dil ko sukun bhi dekh ke ye aur zehn-e-rasa hai hairan bhi
ye bhi hai qarina ek shayad hasti mein tawazun rakhne ka
kuchh raaz ayan kar logon par kuchh haal magar rakh pinhan bhi
ek zarb ana ne zer-o-zabar kar Dala mohabbat ka mehwar
ab us se panah rab chahen the jis pe kabhi hum nazan bhi
is daur-e-zehanat mein jab jab dastur-e-aman par baat hui
aaya hai kaTahre mein aksar tab sath hamare yazdan bhi
ek lahza sitam ek lamha karam hum par hai ye ehsan un ka sada
raazi bhi hun ek saat mein magar ho jate hain pal mein nalan bhi
hai aql samajhne se qasir pahlu ye tamaddun ka ab tak
malbus jahan hain mard bahut aurat hai wahin par uryan bhi
apna to nahin kuchh logon ko ye dekh ke hairani hai bahut
hain jis se gile-shikwe bhi hamein rahte hain usi par nazan bhi
shair hain amal ke maidan se kuchh dur to us mein hairat kyun
ghazlon ki zaminon par un ko dekhoge bahut sargardan bhi
us se bhi pata chalta hai ki han KHallaq-e-do-alam hai koi
har shai hai alag pahchan liye ek nazm hai sab mein yaksan bhi
ab hum mein nahin wo josh-e-junun us mein bhi nahin wo baat ki jo
rahat ka sabab the dil ke liye jaanan nahin zikr-e-jaanan bhi
qismat ke andhere mein bhi rahi aankhon mein meri ek kahkashan
tarik nahin kar pae kabhi KHwabon ko sawad-e-zindan bhi
nafrat se mohabbat se aksar hum ne hi likhi taqdir teri
hum ne hi zamin-e-gul tujh ko jannat bhi kiya aur viran bhi
takrar-e-sitamgar se behtar ruKHsat lo yahan se 'athar'-ji
ye kaam to tum kar sakte ho ye kaam lage hai aasan bhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.