sarsarahaT dard ki riste hue zaKHmon ki gunj
sarsarāhaT dard kī riste hue zaḳhmoñ kī guuñj
zindagī meñ Dhal ga.ī hai fikr ke lamhoñ kī guuñj
baT ga.ī hai shiddat-e-ehsās-e-ġham kī bāzgasht
tiptipā.e dīda-e-pur-āb se ashkoñ kī guuñj
ruuh kī chīḳheñ badan meñ bahr-e-tasdīq-e-hayāt
aur tausīq-e-navā-e-dil tirī yādoñ kī guuñj
nuur kā qatra koī Tapke añdherī raat meñ
dil ke sannāTe meñ ubhrī yuuñ tire qadmoñ kī guuñj
merā fan goyā hai 'jāmī' raushnī kā ham-safar
merī ġhazloñ meñ nihāñ hai ruuh ke zaḳhmoñ kī guuñj
sarsarahaT dard ki riste hue zaKHmon ki gunj
zindagi mein Dhal gai hai fikr ke lamhon ki gunj
baT gai hai shiddat-e-ehsas-e-gham ki bazgasht
tiptipae dida-e-pur-ab se ashkon ki gunj
ruh ki chiKHen badan mein bahr-e-tasdiq-e-hayat
aur tausiq-e-nawa-e-dil teri yaadon ki gunj
nur ka qatra koi Tapke andheri raat mein
dil ke sannaTe mein ubhri yun tere qadmon ki gunj
mera fan goya hai 'jami' raushni ka ham-safar
meri ghazlon mein nihan hai ruh ke zaKHmon ki gunj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.