sarsari baat aur hum donon
sarsarī baat aur ham donoñ
ik mulāqāt aur ham donoñ
shauq-e-dīdār meñ chale aa.e
chāñdnī raat aur ham donoñ
muntashir ḳhvāb ho ga.e kitne
baT ga.ī zaat aur ham donoñ
bevafā.ī ke haiñ sabhī asbāb
ye ḳharābāt aur ham donoñ
mil ga.e phir shajar ke saa.e meñ
an-kahī baat aur ham donoñ
aa ga.e haiñ 'abīr' kūche meñ
pahlī barsāt aur ham donoñ
sarsari baat aur hum donon
ek mulaqat aur hum donon
shauq-e-didar mein chale aae
chandni raat aur hum donon
muntashir KHwab ho gae kitne
baT gai zat aur hum donon
bewafai ke hain sabhi asbab
ye KHarabaat aur hum donon
mil gae phir shajar ke sae mein
an-kahi baat aur hum donon
aa gae hain 'abir' kuche mein
pahli barsat aur hum donon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.