sarsari bhi hai kargar bhi hai
sarsarī bhī hai kārgar bhī hai
ye kaTārī bhī hai nazar bhī hai
kise taakā kise kiyā bismil
o kamāñ-dār kuchh ḳhabar bhī hai
kaun kahtā hai gul nahīñ sunte
āh-e-bulbul meñ kuchh asar bhī hai
go mirī dāstāñ hai tuul bahut
tum suno to ye muḳhtasar bhī hai
majma'-ul-barzaḳhain hai insān
ye farishta bhī hai bashar bhī hai
nazr hai jo pasand aa.e tumheñ
dil bhī maujūd hai jigar bhī hai
vaar terī nigah kā roke kaun
kahīñ us teġh kī sipar bhī hai
ye bhī ḳhidmat meñ sar buland rahe
ā.ina-dār ik qamar bhī hai
un ke va.adoñ kā kuchh yaqīn nahīñ
guftugū meñ agar magar bhī hai
ġhair ne teġh par gila na dharā
koī merā sā be-jigar bhī hai
ġhair kyā ma.arke meñ ā.eñge
buz-diloñ kā yahāñ guzar bhī hai
uTTho 'akbar' chalo madīne ko
is se behtar koī safar bhī hai
sarsari bhi hai kargar bhi hai
ye kaTari bhi hai nazar bhi hai
kise taka kise kiya bismil
o kaman-dar kuchh KHabar bhi hai
kaun kahta hai gul nahin sunte
aah-e-bulbul mein kuchh asar bhi hai
go meri dastan hai tul bahut
tum suno to ye muKHtasar bhi hai
majma'-ul-barzaKHain hai insan
ye farishta bhi hai bashar bhi hai
nazr hai jo pasand aae tumhein
dil bhi maujud hai jigar bhi hai
war teri nigah ka roke kaun
kahin us tegh ki sipar bhi hai
ye bhi KHidmat mein sar buland rahe
aaina-dar ek qamar bhi hai
un ke wadon ka kuchh yaqin nahin
guftugu mein agar magar bhi hai
ghair ne tegh par gila na dhara
koi mera sa be-jigar bhi hai
ghair kya marke mein aaenge
buz-dilon ka yahan guzar bhi hai
uTTho 'akbar' chalo madine ko
is se behtar koi safar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.