sarshaar hun chhalakte hue jam ki qasam
sarshār huuñ chhalakte hue jaam kī qasam
mast-e-sharāb-e-shauq huuñ ḳhayyām kī qasam
ishrat-farosh thā mirā guzrā huā shabāb
kahtā huuñ khā ke ishrat-e-ayyām kī qasam
hotī thī sub.h-e-īd mirī sub.h par nisār
khātī thī shām-e-aish mirī shaam kī qasam
'aḳhtar' mazāq-e-dard kā maarā huā huuñ maiñ
khāte haiñ ahl-e-dard mire naam kī qasam
sarshaar hun chhalakte hue jam ki qasam
mast-e-sharab-e-shauq hun KHayyam ki qasam
ishrat-farosh tha mera guzra hua shabab
kahta hun kha ke ishrat-e-ayyam ki qasam
hoti thi subh-e-id meri subh par nisar
khati thi sham-e-aish meri sham ki qasam
'aKHtar' mazaq-e-dard ka mara hua hun main
khate hain ahl-e-dard mere nam ki qasam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.