sarw-o-saman bhi mauj-e-nasim-e-sahar bhi hai
sarv-o-saman bhī mauj-e-nasīm-e-sahar bhī hai
ai gul tire chaman meñ koī chashm-e-tar bhī hai
saaya hai zindagī pe vo yās-o-umīd kā
har shab shab-e-darāz bhī hai muḳhtasar bhī hai
kuchh der pī leñ kākul-o-āriz kī chhāñv meñ
jādū-e-shām bhī hai fusūn-e-sahar bhī hai
duniyā sune to qissa-e-ġham hai bahut tavīl
haañ tum suno to qissa-e-ġham muḳhtasar bhī hai
sarw-o-saman bhi mauj-e-nasim-e-sahar bhi hai
ai gul tere chaman mein koi chashm-e-tar bhi hai
saya hai zindagi pe wo yas-o-umid ka
har shab shab-e-daraaz bhi hai muKHtasar bhi hai
kuchh der pi len kakul-o-ariz ki chhanw mein
jadu-e-sham bhi hai fusun-e-sahar bhi hai
duniya sune to qissa-e-gham hai bahut tawil
han tum suno to qissa-e-gham muKHtasar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.