sat-tahzibon ka ek qarz jo purkhon ne parward kiya
sat-tahzibon ka ek qarz jo purkhon ne parward kiya
Ghulam Mustafa Daim
MORE BYGhulam Mustafa Daim
sat-tahzīboñ kā ik qarz jo purkhoñ ne parvard kiyā
maiñ ne uThā kar farsh pe paTḳhā paañv se maslā gard kiyā
shor-e-darūñ kī tez havā ne ġhaar kā dahāna zard kiyā
bhūle-bhaTke dhyān kā ghoḌā āḳhir jism-navard kiyā
ajnabī des ke sāvan meñ rangoñ kī ret ne murjhā kar
surḳh lahū meñ niilī buuñd milā kar pahlū sard kiyā
ā.īna-poshī ke alqāb usī ke sar par jaa.ez haiñ
raushniyoñ kī bhiiḌ meñ jis ne apnā saaya fard kiyā
jins ke ḳhānoñ se bāhar ye safed havā.eñ kyā jāneñ
ḳhaak ko jazba-e-ishq ne mil kar achchhā-ḳhāsā mard kiyā
fitrat ke aa.iin ko daa.im kuchh to masraf chāhiye thā
aadhā bhaag sipurd-e-mashiyyat aadhā vaqf-e-dard kiyā
sat-tahzibon ka ek qarz jo purkhon ne parward kiya
main ne uTha kar farsh pe paTKHa panw se masla gard kiya
shor-e-darun ki tez hawa ne ghaar ka dahana zard kiya
bhule-bhaTke dhyan ka ghoDa aaKHir jism-naward kiya
ajnabi des ke sawan mein rangon ki ret ne murjha kar
surKH lahu mein nili bund mila kar pahlu sard kiya
aaina-poshi ke alqab usi ke sar par jaez hain
raushniyon ki bhiD mein jis ne apna saya fard kiya
jins ke KHanon se bahar ye safed hawaen kya jaanen
KHak ko jazba-e-ishq ne mil kar achchha-KHasa mard kiya
fitrat ke aain ko daim kuchh to masraf chahiye tha
aadha bhag sipurd-e-mashiyyat aadha waqf-e-dard kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.