sata kar sitam-kash ko kya paiyega
sata kar sitam-kash ko kya paiyega
Pandit Jagmohan Nath Raina Shauq
MORE BYPandit Jagmohan Nath Raina Shauq
satā kar sitam-kash ko kyā pā.iyegā
jo kī kuchh shikāyat to jhuñjhlā.iyegā
vo barq-e-tajallī kī jo jalva-gāh
vahīñ hazrat-e-dil na rah jā.iyegā
adab kī jagah marne vaalo hai qabr
samajh kar yahāñ paañv phailā.iyegā
ġharīb ab to qadmoñ meñ hī aa paḌā
dil-e-nā-tavāñ ko na Thukrā.iyegā
ḳhabar bhī hai kuchh bār-e-isyāñ kī 'shauq'
huī vaañ jo pursish to sharmā.iyegā
sata kar sitam-kash ko kya paiyega
jo ki kuchh shikayat to jhunjhlaiyega
wo barq-e-tajalli ki jo jalwa-gah
wahin hazrat-e-dil na rah jaiyega
adab ki jagah marne walo hai qabr
samajh kar yahan panw phailaiyega
gharib ab to qadmon mein hi aa paDa
dil-e-na-tawan ko na Thukraiyega
KHabar bhi hai kuchh bar-e-isyan ki 'shauq'
hui wan jo pursish to sharmaiyega
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 62)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.