sataish jin ka pesha ho gaya hai
satā.ish jin kā pesha ho gayā hai
unheñ shohrat kā chaskā ho gayā hai
mujhe kyā terā saudā ho gayā hai
junūñ kā mere charchā ho gayā hai
nazar aatī nahīñ saḌkoñ pe lāsheñ
amīr-e-shahr andhā ho gayā hai
tirī yādoñ se merā dil thā raushan
tire milne se tanhā ho gayā hai
tire āñchal ke uḌne se fazā meñ
guloñ kā rañg chokhā ho gayā hai
tumhārā naam kiyā aayā laboñ par
ki ik tūfān barpā ho gayā hai
bahut ham ko thā tālib naaz jis par
vahī ab dil kisī kā ho gayā hai
sataish jin ka pesha ho gaya hai
unhen shohrat ka chaska ho gaya hai
mujhe kya tera sauda ho gaya hai
junun ka mere charcha ho gaya hai
nazar aati nahin saDkon pe lashen
amir-e-shahr andha ho gaya hai
teri yaadon se mera dil tha raushan
tere milne se tanha ho gaya hai
tere aanchal ke uDne se faza mein
gulon ka rang chokha ho gaya hai
tumhaara nam kiya aaya labon par
ki ek tufan barpa ho gaya hai
bahut hum ko tha talib naz jis par
wahi ab dil kisi ka ho gaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.