sataish se hote nahin shadman
satā.ish se hote nahīñ shādmāñ
malāmat se ham tilmilāte nahīñ
ho ḳhauf-e-ḳhudā jin ke dil meñ basā
vo hargiz kisī ko satāte nahīñ
gunāhoñ se dāman bachāte haiñ ham
ibādat meñ go sar jhukāte nahīñ
na ham rahnumā haiñ na ham rāhbar
ġhalat raah lekin batāte nahīñ
ibādat se paate haiñ ham vo surūr
jo mīnā-o-sāġhar se paate nahīñ
hai āñkhoñ se piine kī ḳhvāhish hameñ
magar vo nazar tak milāte nahīñ
mohabbat meñ ham khaa.e baiThe haiñ maat
magar ashk 'lāġhar' bahāte nahīñ
sataish se hote nahin shadman
malamat se hum tilmilate nahin
ho KHauf-e-KHuda jin ke dil mein basa
wo hargiz kisi ko satate nahin
gunahon se daman bachate hain hum
ibaadat mein go sar jhukate nahin
na hum rahnuma hain na hum rahbar
ghalat rah lekin batate nahin
ibaadat se pate hain hum wo surur
jo mina-o-saghar se pate nahin
hai aankhon se pine ki KHwahish hamein
magar wo nazar tak milate nahin
mohabbat mein hum khae baiThe hain mat
magar ashk 'laghar' bahate nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.