satati hain rulati hain mujhe yaaden december ki
satātī haiñ rulātī haiñ mujhe yādeñ december kī
jagātī haiñ jalātī haiñ mujhe rāteñ december kī
ḳhatoñ kā ik lifāfa aur kuchh tohfe mohabbat ke
salāmat haiñ mire locker meñ sauġhāteñ december kī
mujhe mahsūs hotī hai tumhāre lams kī garmī
mujhe sardī meñ sulgā.eñ ye tāsīreñ december kī
ki jis pahlū meñ tum ne ġhair ko apne biThāyā hai
usī pahlū meñ guzrī haiñ mirī shāmeñ december kī
tumhāre saath mausam kā maza kuchh aur thā ab to
bahut bīmār kartī haiñ ye barsāteñ december kī
satati hain rulati hain mujhe yaaden december ki
jagati hain jalati hain mujhe raaten december ki
KHaton ka ek lifafa aur kuchh tohfe mohabbat ke
salamat hain mere locker mein saughaten december ki
mujhe mahsus hoti hai tumhaare lams ki garmi
mujhe sardi mein sulgaen ye tasiren december ki
ki jis pahlu mein tum ne ghair ko apne biThaya hai
usi pahlu mein guzri hain meri shamen december ki
tumhaare sath mausam ka maza kuchh aur tha ab to
bahut bimar karti hain ye barsaten december ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.