satwat-e-ishwa-saz kya kahna
satvat-e-ishva-sāz kyā kahnā
ġhamza andāz naaz kyā kahnā
kaisī shoḳhī se phāñsā murġh-e-dil
dām-e-zulf-e-darāz kyā kahnā
ahl-e-mahfil ke siine jalne lage
harf-e-soz-o-gudāz kyā kahnā
hue pāmāl kūche meñ un ke
ham bhī haiñ sarfarāz kyā kahnā
dard baḳhshā 'jalālī' jis ne tumheñ
hai vahī chāra-sāz kyā kahnā
satwat-e-ishwa-saz kya kahna
ghamza andaz naz kya kahna
kaisi shoKHi se phansa murgh-e-dil
dam-e-zulf-e-daraaz kya kahna
ahl-e-mahfil ke sine jalne lage
harf-e-soz-o-gudaz kya kahna
hue pamal kuche mein un ke
hum bhi hain sarfaraaz kya kahna
dard baKHsha 'jalali' jis ne tumhein
hai wahi chaara-saz kya kahna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.