sau bar musht-e-rakh se ubhre bhasam hue
sau baar musht-e-rākh se ubhre bhasam hue
ham ne ḳhirāj-e-hastī chukāyā to ham hue
jis vaqt tū ne fart-e-mohabbat meñ apnā aap
gard-e-rah-e-talab meñ miTāyā to ham hue
jis ne hadīs-e-dil ko paḌhā chashm-e-aql se
shā.ir to be-shumār hue ham se kam hue
apnā to sirf ek aqīda hai aur vo ishq
logoñ ke laakh firqe masālik dharam hue
sau bar musht-e-rakh se ubhre bhasam hue
hum ne KHiraj-e-hasti chukaya to hum hue
jis waqt tu ne fart-e-mohabbat mein apna aap
gard-e-rah-e-talab mein miTaya to hum hue
jis ne hadis-e-dil ko paDha chashm-e-aql se
shair to be-shumar hue hum se kam hue
apna to sirf ek aqida hai aur wo ishq
logon ke lakh firqe masalik dharam hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.