sau bar qatl kar hamein tu aur jilae ja
sau baar qatl kar hameñ tū aur jilā.e jā
jis tarah dil meñ aa.e tire āzmā.e jā
ai shāh-e-husn dar pe paḌā hai tire faqīr
naqsh-e-qadam kī tarah use bhī miTā.e jā
paḌtā huuñ tere paañv mujhe nīm-jāñ na chhoḌ
jallād ek haath to puurā lagā.e jā
'ālī' kī qabr par na uThā fātiha ko haath
Thokar hī paañv se koī zālim lagā.e jā
sau bar qatl kar hamein tu aur jilae ja
jis tarah dil mein aae tere aazmae ja
ai shah-e-husn dar pe paDa hai tere faqir
naqsh-e-qadam ki tarah use bhi miTae ja
paDta hun tere panw mujhe nim-jaan na chhoD
jallad ek hath to pura lagae ja
'ali' ki qabr par na uTha fatiha ko hath
Thokar hi panw se koi zalim lagae ja
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.