sau bar yun garajne ko baadal garaj gaya
sau baar yuuñ garajne ko bādal garaj gayā
lekin zamīn-e-ḳhushk ko kuchh bhī na taj gayā
ghar jā ke motiyoñ kī tarah jagmagā uThī
maiñ apne saath le ke jo dariyā kī raj gayā
har tājvar kī tāj-varī zer-e-ḳhāk hai
lekin abhī kulāh-e-anā kā na kaj gayā
jab bhī tire ḳhayāl kī ḳhushbū mahak uThī
kamra suhāg-rāt ke phūloñ se saj gayā
do mehr-o-māh ek hī qālib meñ Dhal ga.e
aksar shab-e-visāl kā jab ek baj gayā
zāhid maiñ aaj tak na haram tak gayā magar
kū-e-sanam meñ roz hī karne ko haj gayā
barsoñ se fan kī kisht thī banjar paḌī huī
ai 'kaif' tere ḳhuun se kyā kyā upaj gayā
sau bar yun garajne ko baadal garaj gaya
lekin zamin-e-KHushk ko kuchh bhi na taj gaya
ghar ja ke motiyon ki tarah jagmaga uThi
main apne sath le ke jo dariya ki raj gaya
har tajwar ki taj-wari zer-e-KHak hai
lekin abhi kulah-e-ana ka na kaj gaya
jab bhi tere KHayal ki KHushbu mahak uThi
kamra suhag-raat ke phulon se saj gaya
do mehr-o-mah ek hi qalib mein Dhal gae
aksar shab-e-visal ka jab ek baj gaya
zahid main aaj tak na haram tak gaya magar
ku-e-sanam mein roz hi karne ko haj gaya
barson se fan ki kisht thi banjar paDi hui
ai 'kaif' tere KHun se kya kya upaj gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.