sau bulandi bhi jo ho pasti hai
sau bulandī bhī jo ho pastī hai
apnī hastī bhī koī hastī hai
dāman-e-sabr na hāthoñ se chhuTe
ik tarah kī ye tahī-dastī hai
ġhair to ġhair haiñ ab āvāze
mujh pa merī hī fuġhāñ kastī hai
ham nahīñ bechte dil phir kyā hai
is meñ kuchh zor-zabardastī hai
ġhair sarshār-e-mai-e-naḳhvat hai
us ko mastī nahīñ bad-mastī hai
lākhoñ haiñ bechne vaale le lo
jins-e-dil ab to bahut sastī hai
us ke sar chaḌh ke na utrā ai zulf
har bulandī ke liye pastī hai
jin ko hāsil hai tavakkul un ko
fāqa-mastī meñ bhī ik mastī hai
dil kā kāñTā to nikāleñ aa kar
jin ko da.avā-e-subuk-dastī hai
ik nigah jins-e-vafā kī qīmat
unheñ mahñgī hai hameñ sastī hai
tujh pe miTnā hai hayāt-e-abadī
nīstī hī se mirī hastī hai
dil ke jaane pe maiñ rotā huuñ 'fahīm'
mujh pe ik ḳhalq-e-ḳhudā hañstī hai
sau bulandi bhi jo ho pasti hai
apni hasti bhi koi hasti hai
daman-e-sabr na hathon se chhuTe
ek tarah ki ye tahi-dasti hai
ghair to ghair hain ab aawaze
mujh pa meri hi fughan kasti hai
hum nahin bechte dil phir kya hai
is mein kuchh zor-zabardasti hai
ghair sarshaar-e-mai-e-naKHwat hai
us ko masti nahin bad-masti hai
lakhon hain bechne wale le lo
jins-e-dil ab to bahut sasti hai
us ke sar chaDh ke na utra ai zulf
har bulandi ke liye pasti hai
jin ko hasil hai tawakkul un ko
faqa-masti mein bhi ek masti hai
dil ka kanTa to nikalen aa kar
jin ko dawa-e-subuk-dasti hai
ek nigah jins-e-wafa ki qimat
unhen mahngi hai hamein sasti hai
tujh pe miTna hai hayat-e-abadi
nisti hi se meri hasti hai
dil ke jaane pe main rota hun 'fahim'
mujh pe ek KHalq-e-KHuda hansti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.