sau maze ek nafas mein milte hain
sau maze ik nafas meñ milte haiñ
saañs lene se zaḳhm chhilte haiñ
tere milne kī justujū meñ ham
is se milte haiñ us se milte haiñ
zaḳhm hote haiñ aah se taaza
is havā se ye phuul khilte haiñ
kar diyā ġham ne kaah shā.eq ko
ab to hazrat havā se hilte haiñ
sab se milte haiñ vo kahāñ 'shā.eq'
jis se milte haiñ us se milte haiñ
sau maze ek nafas mein milte hain
sans lene se zaKHm chhilte hain
tere milne ki justuju mein hum
is se milte hain us se milte hain
zaKHm hote hain aah se taza
is hawa se ye phul khilte hain
kar diya gham ne kah shaeq ko
ab to hazrat hawa se hilte hain
sab se milte hain wo kahan 'shaeq'
jis se milte hain us se milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.