sau sadiyon ka nauha hai
sau sadiyoñ kā nauha hai
tum kahte ho naġhma hai
dhuul uḌātī jhiryoñ meñ
tahzīboñ kā malba hai
miTTī ke do kūzoñ meñ
kuchh ḳhvāboñ kā girya hai
resham hī se udhḌegā
ye phūloñ kā baḳhiya hai
jitnā bhī tum saaf karo
dhabba āḳhir dhabba hai
is ghar kī vīrānī kā
jañgal jaisā huliya hai
dar aatī hai chupke se
yaad pe kis kā pahra hai
āñkhoñ kī vīrānī se
dil ko lāhaq ḳhatra hai
sau sadiyon ka nauha hai
tum kahte ho naghma hai
dhul uDati jhiryon mein
tahzibon ka malba hai
miTTi ke do kuzon mein
kuchh KHwabon ka girya hai
resham hi se udhDega
ye phulon ka baKHiya hai
jitna bhi tum saf karo
dhabba aaKHir dhabba hai
is ghar ki virani ka
jangal jaisa huliya hai
dar aati hai chupke se
yaad pe kis ka pahra hai
aankhon ki virani se
dil ko lahaq KHatra hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.