sau tak ginti bis pahaDe kaam aae
sau tak gintī biis pahāḌe kaam aa.e
saarī daulat meñ ye sikke kaam aa.e
itne chehre jeb meñ rakhe phirte the
vaqt paḌe par kitne chehre kaam aa.e
terī ayyāshī thī merī majbūrī
tū ne kapḌe pheñke mere kaam aa.e
jin ko chhat par Daal diyā thā garmī meñ
sardī meñ vo dhuup ke TukḌe kaam aa.e
āñkhoñ ne hī is ko paalā posā hai
sharm ke kab ye chilman parde kaam aa.e
chhāloñ ke paanī se āḳhir pyaas bujhī
jañgal meñ jañgal ke tohfe kaam aa.e
sau tak ginti bis pahaDe kaam aae
sari daulat mein ye sikke kaam aae
itne chehre jeb mein rakhe phirte the
waqt paDe par kitne chehre kaam aae
teri ayyashi thi meri majburi
tu ne kapDe phenke mere kaam aae
jin ko chhat par Dal diya tha garmi mein
sardi mein wo dhup ke TukDe kaam aae
aankhon ne hi is ko pala posa hai
sharm ke kab ye chilman parde kaam aae
chhaalon ke pani se aaKHir pyas bujhi
jangal mein jangal ke tohfe kaam aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.