sau tarah ke uThne wale waswase hain masale
sau tarah ke uThne vaale vasvase haiñ mas.ale
aap ke jo mas.ale haiñ mas.ale haiñ mas.ale
duniyā-dārī kā agar ham mas.ala suljhā bhī leñ
dil kī duniyā ke bahut uljhe hue haiñ mas.ale
jab se tum ko maiñ ne apnā kah diyā hai barmalā
haa.e mujh ko phan uThā kar Das rahe haiñ mas.ale
vasl meñ to ḳhair thoḌā jī bahal jaatā hai par
hijr ḳhud ik mas.ala hai hijr ke haiñ mas.ale
dil ke saare mas.ale to hal nahīñ hote kabhī
kuchh purāne mas.ale haiñ kuchh na.e haiñ mas.ale
ham ne tujh ko chhoḌ kar dekhā hai lekin ye huā
ab tirī yādoñ ke dil par uTh ga.e haiñ mas.ale
aaj maañ kī god meñ sar maiñ ne 'ushba' rakh diyā
aaj mujh se ḳhauf khāte jā rahe haiñ mas.ale
sau tarah ke uThne wale waswase hain masale
aap ke jo masale hain masale hain masale
duniya-dari ka agar hum masala suljha bhi len
dil ki duniya ke bahut uljhe hue hain masale
jab se tum ko main ne apna kah diya hai barmala
hae mujh ko phan uTha kar Das rahe hain masale
wasl mein to KHair thoDa ji bahal jata hai par
hijr KHud ek masala hai hijr ke hain masale
dil ke sare masale to hal nahin hote kabhi
kuchh purane masale hain kuchh nae hain masale
hum ne tujh ko chhoD kar dekha hai lekin ye hua
ab teri yaadon ke dil par uTh gae hain masale
aaj man ki god mein sar main ne 'ushba' rakh diya
aaj mujh se KHauf khate ja rahe hain masale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.