sau zulmaten hai ishq-e-pareshan liye hue
sau zulmateñ hai ishq-e-pareshāñ liye hue
aa jaao mash.al-e-ruḳh-e-tābāñ liye hue
har mauj be-ḳharāsh thī dariyā-e-husn kī
aanā paḌā talātum-e-armāñ liye hue
dast-e-junūñ ko chheḌ na ġhairat-dah-e-bahār
dāman se jā mile na garebāñ liye hue
baḌh jaa.e aur arsa-e-mehshar zarūratan
aayā huuñ saath kasrat-e-isyāñ liye hue
ik sarmadī hayāt gale mil ke dī ga.ī
thī teġh-e-nāz chashma-e-haivāñ liye hue
dete rahe vo husn ko dars-e-jamāl-e-tūr
baiThā rahā maiñ dīda-e-hairāñ liye hue
aatā hai kaun hashr meñ ye jhūmtā huā
sajdoñ ke saath kūcha-e-jānāñ liye hue
tū apne tīr-e-nāz kā mujh se na zikr kar
dil uḌ na jaa.e ālam-e-imkāñ liye hue
chhāyā hai 'abr' mohr-e-qayāmat pe ban ke abr
vo ashk thā jo dīda-e-giryāñ liye hue
sau zulmaten hai ishq-e-pareshan liye hue
aa jao mashal-e-ruKH-e-taban liye hue
har mauj be-KHarash thi dariya-e-husn ki
aana paDa talatum-e-arman liye hue
dast-e-junun ko chheD na ghairat-dah-e-bahaar
daman se ja mile na gareban liye hue
baDh jae aur arsa-e-mehshar zaruratan
aaya hun sath kasrat-e-isyan liye hue
ek sarmadi hayat gale mil ke di gai
thi tegh-e-naz chashma-e-haiwan liye hue
dete rahe wo husn ko dars-e-jamal-e-tur
baiTha raha main dida-e-hairan liye hue
aata hai kaun hashr mein ye jhumta hua
sajdon ke sath kucha-e-jaanan liye hue
tu apne tir-e-naz ka mujh se na zikr kar
dil uD na jae aalam-e-imkan liye hue
chhaya hai 'abr' mohr-e-qayamat pe ban ke abr
wo ashk tha jo dida-e-giryan liye hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.