sauda barae zindagi aasan kar diya
saudā barā.e zindagī āsān kar diyā
jo bik nahīñ rahā thā use daan kar diyā
puurī ġhazal kā lutf uThā hī nahīñ sake
matle' ne is qadar hameñ hairān kar diyā
mahfil meñ koī husn kā misra' agar milā
itne sunā.e she'r ki dīvān kar diyā
paanī pahan ke dauḌ lagā dī galī galī
dariyā ne khel khel meñ nuqsān kar diyā
ham toḌne ga.e the nasīhat kī boTiyāñ
order janāb-e-shaiḳh ne jalpān kar diyā
mushkil meñ paḌ ga.e tire chakkar meñ ḳhud magar
ḳhush haiñ ki rāsta tirā āsān kar diyā
sachchā.iyoñ ne ḳhvāb ke sab ḳheme Dhā diye
aur 'āshiqoñ ko be-sar-o-sāmān kar diyā
sauda barae zindagi aasan kar diya
jo bik nahin raha tha use dan kar diya
puri ghazal ka lutf uTha hi nahin sake
matle' ne is qadar hamein hairan kar diya
mahfil mein koi husn ka misra' agar mila
itne sunae she'r ki diwan kar diya
pani pahan ke dauD laga di gali gali
dariya ne khel khel mein nuqsan kar diya
hum toDne gae the nasihat ki boTiyan
order janab-e-shaiKH ne jalpan kar diya
mushkil mein paD gae tere chakkar mein KHud magar
KHush hain ki rasta tera aasan kar diya
sachchaiyon ne KHwab ke sab KHeme Dha diye
aur 'ashiqon ko be-sar-o-saman kar diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.