sauda-e-ishq-e-KHam to har ek bashar mein hai
saudā-e-ishq-e-ḳhām to har ik bashar meñ hai
majnūñ sā zabt-o-josh-o-junūñ kis ke sar meñ hai
ik maiñ hī madah-go nahīñ sarkār aap kā
charchā tumhāre husn kā har ek ghar meñ hai
allāh re nūr-e-mus.haf-e-ruḳhsār kī damak
ye taab ye chamak kahāñ la.al-o-guhar meñ hai
ghāyal kiye hazār to lākhoñ jalā diye
kyā baat un kī nigah-e-jādū-asar meñ hai
nāhaq hī koste ho jo rindoñ ko shaiḳh jī
dekhā bhī rashk-e-hūr koī umr bhar meñ hai
ḳhanjar chhupā liye haiñ jo mizhgāñ kī aaḌ meñ
ham par ayaañ hai sab jo tumhārī nazar meñ hai
bismil hue raqīb to ham tilmilā uThe
saare jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
ḳhāna-ḳharāb-e-ishq ne duniyā se kho diyā
is par bhī aaj tak vahī ḳhafaqān sar meñ hai
'āzam' bajā hai sīm-tanoñ kā ġhurūr-e-husn
qudrat hai un kī baat meñ jaadū nazar meñ hai
sauda-e-ishq-e-KHam to har ek bashar mein hai
majnun sa zabt-o-josh-o-junun kis ke sar mein hai
ek main hi madah-go nahin sarkar aap ka
charcha tumhaare husn ka har ek ghar mein hai
allah re nur-e-mushaf-e-ruKHsar ki damak
ye tab ye chamak kahan lal-o-guhar mein hai
ghayal kiye hazar to lakhon jala diye
kya baat un ki nigah-e-jadu-asar mein hai
nahaq hi koste ho jo rindon ko shaiKH ji
dekha bhi rashk-e-hur koi umr bhar mein hai
KHanjar chhupa liye hain jo mizhgan ki aaD mein
hum par ayan hai sab jo tumhaari nazar mein hai
bismil hue raqib to hum tilmila uThe
sare jahan ka dard hamare jigar mein hai
KHana-KHarab-e-ishq ne duniya se kho diya
is par bhi aaj tak wahi KHafaqan sar mein hai
'azam' baja hai sim-tanon ka ghurur-e-husn
qudrat hai un ki baat mein jadu nazar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.