sauda-e-shahadat na ho jis sar mein wo sar kya
saudā-e-shahādat na ho jis sar meñ vo sar kyā
jis meñ na harārat ho na harkat vo sharar kyā
nik.hat ho na rangat to chaman meñ gul-e-tar kyā
jab ilm-o-hunar ho na bashar meñ to bashar kyā
jhuk jaa.e adū kā bhī na sar jis pe vo dar kyā
māhaul masarrat kā na ho jis meñ vo ghar kyā
siine se guzartī huī bātin meñ pahuñch kar
jo ālam-e-dil ko na badal de vo nazar kyā
ḳhurshīd-ba-kaf aa.e shab-e-shauq to kyā shab
jo shaam lapeTe hue aa.e vo sahar kyā
insān ke dukh meñ jo kabhī kaam na aa.e
phir us kī duāoñ kā haram meñ bhī asar kyā
insāñ ko jo dīvāna-e-insāñ na banā de
is daur meñ vo dars-gah-e-ilm-o-hunar kyā
ai be-ḳhabar is qalb-e-munavvar ke muqābil
ye raushnī-e-la.al-o-guhar shams-o-qamar kyā
vo chashm-e-taġhāful ho ki ho chashm-e-ināyat
dīvāne ko saaqī kī nigāhoñ kī ḳhabar kyā
afsurdagī-e-ġhuncha-o-gul ko jo baḌhā de
gulzār meñ vo bād-e-sabā bād-e-sahar kyā
dariyā ko jo ik nuur kā dariyā na banā de
gumnām tah-e-āb vo tābinda guhar kyā
ik bhiiḌ sī dekhī to kahā ham-safaroñ se
dekho zarā baḌh kar to ye 'amjad' kā hai ghar kyā
sauda-e-shahadat na ho jis sar mein wo sar kya
jis mein na hararat ho na harkat wo sharar kya
nikhat ho na rangat to chaman mein gul-e-tar kya
jab ilm-o-hunar ho na bashar mein to bashar kya
jhuk jae adu ka bhi na sar jis pe wo dar kya
mahaul masarrat ka na ho jis mein wo ghar kya
sine se guzarti hui baatin mein pahunch kar
jo aalam-e-dil ko na badal de wo nazar kya
KHurshid-ba-kaf aae shab-e-shauq to kya shab
jo sham lapeTe hue aae wo sahar kya
insan ke dukh mein jo kabhi kaam na aae
phir us ki duaon ka haram mein bhi asar kya
insan ko jo diwana-e-insan na bana de
is daur mein wo dars-gah-e-ilm-o-hunar kya
ai be-KHabar is qalb-e-munawwar ke muqabil
ye raushni-e-lal-o-guhar shams-o-qamar kya
wo chashm-e-taghaful ho ki ho chashm-e-inayat
diwane ko saqi ki nigahon ki KHabar kya
afsurdagi-e-ghuncha-o-gul ko jo baDha de
gulzar mein wo baad-e-saba baad-e-sahar kya
dariya ko jo ek nur ka dariya na bana de
gumnam tah-e-ab wo tabinda guhar kya
ek bhiD si dekhi to kaha ham-safaron se
dekho zara baDh kar to ye 'amjad' ka hai ghar kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.