Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sauda hai jo dil de ke KHaridar se uljhe

Dagh Dehlvi

sauda hai jo dil de ke KHaridar se uljhe

Dagh Dehlvi

MORE BYDagh Dehlvi

    saudā hai jo dil de ke ḳharīdār se uljhe

    suljhe hue ham se na kabhī yaar se uljhe

    hone na diyā rashk ne iz.hār-e-tamannā

    har baat meñ ham apnī guftār se uljhe

    uljhāv se uljhāv haiñ is ishq meñ yā-rab

    dil-dār se aTke the ki aġhyār se uljhe

    kyā sair ho shāne se laḌe gar dil-e-sad-chāk

    ek ek giraftār giraftār se uljhe

    aTke to kisī chashm-e-fusūñ-sāz se aTke

    uljhe to kisī turra-e-tarrār se uljhe

    chorī se bhī pahuñche na tire ghar meñ kabhī ham

    barsoñ yūñhī ḳhār-e-sar-e-dīvār se uljhe

    khulte nahīñ tum 'dāġh' ulajhtī hai tabī.at

    achchhe kisī ayyār se makkār se uljhe

    sauda hai jo dil de ke KHaridar se uljhe

    suljhe hue hum se na kabhi yar se uljhe

    hone na diya rashk ne izhaar-e-tamanna

    har baat mein hum apni hi guftar se uljhe

    uljhaw se uljhaw hain is ishq mein ya-rab

    dil-dar se aTke the ki aghyar se uljhe

    kya sair ho shane se laDe gar dil-e-sad-chaak

    ek ek giraftar giraftar se uljhe

    aTke to kisi chashm-e-fusun-saz se aTke

    uljhe to kisi turra-e-tarrar se uljhe

    chori se bhi pahunche na tere ghar mein kabhi hum

    barson yunhi KHar-e-sar-e-diwar se uljhe

    khulte nahin tum 'dagh' ulajhti hai tabiat

    achchhe kisi ayyar se makkar se uljhe

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now