sauda tumhaare ishq ka jis din se sar mein hai
Interesting Fact
August 1983
saudā tumhāre ishq kā jis din se sar meñ hai
sāre-jahāñ kā dard hamāre jigar meñ hai
marne kī aarzū bhī nikal jā.egī kabhī
aisā kahāñ ki bair duā-o-asar meñ hai
josh-e-junūñ ko kis liye sahrā kī hai talāsh
sar phoḌne kā lutf to dīvār-o-dar meñ hai
har halqa-e-ḳhayāl hai tasvīr-e-rū-e-dost
afsūn-e-intizār ye kaisā nazar meñ hai
ai dil tavālat-e-shab-e-furqat kā kyā gila
nādān farq bhī koī shām-o-sahar meñ hai
is gardish-e-mudām se ghabrā.eñ kis liye
ik halqa-e-junūñ hai jo daur-e-qamar meñ hai
sajdoñ ne farq-e-naqsh-e-qadam bhī miTā diyā
aisā bhī ik maqām tirī rahguzar meñ hai
dil de chuke haiñ jaan bhī ab de ke dekh leñ
ik imtihān ye bhī hamārī nazar meñ hai
kah do shamīm ġhuncha-e-tāza-shagufta se
bū-e-charāġh-e-kustā bhī bād-e-sahar meñ hai
sauda tumhaare ishq ka jis din se sar mein hai
sare-jahan ka dard hamare jigar mein hai
marne ki aarzu bhi nikal jaegi kabhi
aisa kahan ki bair dua-o-asar mein hai
josh-e-junun ko kis liye sahra ki hai talash
sar phoDne ka lutf to diwar-o-dar mein hai
har halqa-e-KHayal hai taswir-e-ru-e-dost
afsun-e-intizar ye kaisa nazar mein hai
ai dil tawalat-e-shab-e-furqat ka kya gila
nadan farq bhi koi sham-o-sahar mein hai
is gardish-e-mudam se ghabraen kis liye
ek halqa-e-junun hai jo daur-e-qamar mein hai
sajdon ne farq-e-naqsh-e-qadam bhi miTa diya
aisa bhi ek maqam teri rahguzar mein hai
dil de chuke hain jaan bhi ab de ke dekh len
ek imtihan ye bhi hamari nazar mein hai
kah do shamim ghuncha-e-taza-shagufta se
bu-e-charagh-e-kusta bhi baad-e-sahar mein hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.