saudagari ke sare hawalon ko bech dun
saudāgarī ke saare havāloñ ko bech duuñ
maiñ aag ko ḳharīd ke chhāloñ ko bech duuñ
Dar hai ki añdheroñ ko batā deñge merā aib
chun chun ke ghar se saare ujāloñ ko bech duuñ
mumkin hai bech saktī huuñ apne suḳhan ko maiñ
aisā bhī ab nahīñ ki ḳhayāloñ ko bech duuñ
sochā kisī bahāne safā.ī ho zehn kī
raddī se be-tuke se savāloñ ko bech duuñ
kaise kisī ko ḳhvāb sajāne duuñ maiñ tirā
kaise kisī kabāḌ meñ tāloñ ko bech duuñ
saudagari ke sare hawalon ko bech dun
main aag ko KHarid ke chhaalon ko bech dun
Dar hai ki andheron ko bata denge mera aib
chun chun ke ghar se sare ujalon ko bech dun
mumkin hai bech sakti hun apne suKHan ko main
aisa bhi ab nahin ki KHayalon ko bech dun
socha kisi bahane safai ho zehn ki
raddi se be-tuke se sawalon ko bech dun
kaise kisi ko KHwab sajaane dun main tera
kaise kisi kabaD mein talon ko bech dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.