saubat ka badal aasudgi ka pal nahin pakDa
sa.ūbat kā badal āsūdgī kā pal nahīñ pakḌā
safar meñ dhuup ke ham ne kabhī chhāgal nahīñ pakḌā
kahīñ ham se ziyāda aur ko un kī zarūrat ho
yahī kuchh soch kar ham ne kabhī bādal nahīñ pakḌā
ki jab se murdoñ kī saudāgarī haath aa ga.ī us ke
shikārī ne palaT kar phir kabhī jañgal nahīñ pakḌā
parinde jo ga.e lauTe nahīñ phir āshiyānoñ meñ
daraḳhtoñ ne bhī us ke baad koī phal nahīñ pakḌā
sadā bhīgī rahīñ ḳhauf-e-ḳhudā kī raushnā.ī se
mirī āñkhoñ ne duniyā kā diyā kājal nahīñ pakḌā
qanā.at aaj par kī hai parindoñ kī tarah maiñ ne
mire hāthoñ ne 'rahmānī' kisī pal kal nahīñ pakḌā
saubat ka badal aasudgi ka pal nahin pakDa
safar mein dhup ke hum ne kabhi chhagal nahin pakDa
kahin hum se ziyaada aur ko un ki zarurat ho
yahi kuchh soch kar hum ne kabhi baadal nahin pakDa
ki jab se murdon ki saudagari hath aa gai us ke
shikari ne palaT kar phir kabhi jangal nahin pakDa
parinde jo gae lauTe nahin phir aashiyanon mein
daraKHton ne bhi us ke baad koi phal nahin pakDa
sada bhigi rahin KHauf-e-KHuda ki raushnai se
meri aankhon ne duniya ka diya kajal nahin pakDa
qanaat aaj par ki hai parindon ki tarah main ne
mere hathon ne 'rahmani' kisi pal kal nahin pakDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.