sawad-e-sham mein sab wahshiyon ka jalsa ho
savād-e-shām meñ sab vahshiyoñ kā jalsa ho
lahū kā raag ho aur naġhma-sāz pyāsā ho
sunā rahe haiñ mujhe log dāstāñ us kī
is e'timād se jaise kisī ne dekhā ho
kisī ke hoñT suroñ meñ kalām karte hoñ
kisī kā ranj udāsī kī taan letā ho
kisī kanār kī ḳhushbū se sher khulne lageñ
ki baat baat nahīñ ho bas ik ishārā ho
balā-e-sard koī shaal ho sitāroñ-jaḌā
ḳhizāñ kī shaam ho aur sardiyoñ kā qissa ho
gila na kar ki gila mātam-e-mohabbat hai
gale se lag ke batā mujh se jo bhī shikva ho
ab aa ga.e haiñ ki āḳhir tirī galī kā bharam
kahīñ kivāḌ kī dastak hī se na khultā ho
maiñ ye samajh ke rag-e-gul se baat kartā huuñ
koī to baaġh meñ merā hisāb likhtā ho
sawad-e-sham mein sab wahshiyon ka jalsa ho
lahu ka rag ho aur naghma-saz pyasa ho
suna rahe hain mujhe log dastan us ki
is e'timad se jaise kisi ne dekha ho
kisi ke honT suron mein kalam karte hon
kisi ka ranj udasi ki tan leta ho
kisi kanar ki KHushbu se sher khulne lagen
ki baat baat nahin ho bas ek ishaara ho
bala-e-sard koi shaal ho sitaron-jaDa
KHizan ki sham ho aur sardiyon ka qissa ho
gila na kar ki gila matam-e-mohabbat hai
gale se lag ke bata mujh se jo bhi shikwa ho
ab aa gae hain ki aaKHir teri gali ka bharam
kahin kiwaD ki dastak hi se na khulta ho
main ye samajh ke rag-e-gul se baat karta hun
koi to bagh mein mera hisab likhta ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.