sawad-e-shahr-e-madina ke ru-baru hona
savād-e-shahr-e-madīna ke rū-barū honā
zarūrī ho gayā āñkhoñ kā bā-vazū honā
kahāñ nasīb meñ takmīl-e-ārzū honā
dayār-e-sabz meñ is dil kā surḳh-rū honā
samā'atoñ ke liye sā'at-e-shaguft-e-gulāb
havā-e-shahr-e-nubuvvat se guftugū honā
'ajab tarah kisī sahrā-nashīñ kī yaad aa.ī
ki chashm-e-ḳhushk mirī chāhe āb-jū honā
khulā hai naam pe kaise tabīb ke lekin
ye zaḳhm vo hai ki māñge nahīñ rafū honā
mirī jaḌeñ isī miTTī meñ hoñ magar chāhūñ
ḳhayāl-e-taiba se hī ruuh kī numū honā
gunāhgār huuñ maiñ aur chashm-posh hai tū
bahut hai terī nazar kā kabhū kabhū honā
sawad-e-shahr-e-madina ke ru-baru hona
zaruri ho gaya aankhon ka ba-wazu hona
kahan nasib mein takmil-e-arzu hona
dayar-e-sabz mein is dil ka surKH-ru hona
sama'aton ke liye sa'at-e-shaguft-e-gulab
hawa-e-shahr-e-nubuwwat se guftugu hona
'ajab tarah kisi sahra-nashin ki yaad aai
ki chashm-e-KHushk meri chahe aab-ju hona
khula hai nam pe kaise tabib ke lekin
ye zaKHm wo hai ki mange nahin rafu hona
meri jaDen isi miTTi mein hon magar chahun
KHayal-e-taiba se hi ruh ki numu hona
gunahgar hun main aur chashm-posh hai tu
bahut hai teri nazar ka kabhu kabhu hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.