sawal-e-ishq par ta-hashr chup rahna paDa mujhko
savāl-e-ishq par tā-hashr chup rahnā paḌā mujh ko
har ik ilzām ko hañste hue sahnā paḌā mujh ko
kabhī maġhrūr tūfānoñ ko bhī Thukrā diyā maiñ ne
kabhī ik mauj-e-ġham ke saath hī bahnā paḌā mujh ko
sukūn-e-dil baḌī daulat sahī ai ham-nashīñ lekin
sukūñ pā kar bhī aksar muztarib rahnā paḌā mujh ko
zamāna kis qadar be-gāna-e-rasm-e-mohabbat thā
yahāñ to ḳhud se bhī nā-āshnā rahnā paḌā mujh ko
'ravish' is bazm-e-rañgīñ meñ sukūt-e-ġham kā afsāna
kahā jaatā na thā mujh se magar kahnā paḌā mujh ko
sawal-e-ishq par ta-hashr chup rahna paDa mujh ko
har ek ilzam ko hanste hue sahna paDa mujh ko
kabhi maghrur tufanon ko bhi Thukra diya main ne
kabhi ek mauj-e-gham ke sath hi bahna paDa mujh ko
sukun-e-dil baDi daulat sahi ai ham-nashin lekin
sukun pa kar bhi aksar muztarib rahna paDa mujh ko
zamana kis qadar be-gana-e-rasm-e-mohabbat tha
yahan to KHud se bhi na-ashna rahna paDa mujh ko
'rawish' is bazm-e-rangin mein sukut-e-gham ka afsana
kaha jata na tha mujh se magar kahna paDa mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.