sawal-e-sham pe aaya jawab-e-shab aaKHir
savāl-e-shām pe aaya javāb-e-shab āḳhir
kashīdgī kā na paayā magar sabab āḳhir
tumhāre ġham mire ḳhvāhāñ na merā apnā vajūd
kahāñ se lā.ūñgī maiñ shiddat-e-talab āḳhir
ināyat un kī jo vo haal pūchh leñ varna
kisī se un ke marāsim hue haiñ kab āḳhir
mohabbatoñ kī rivāyat to kā.enāt meñ hai
tumhārī aañkh hai avval na mere lab āḳhir
tumhāre naam suḳhan aur tum nahīñ samjhe
hamāre sher hue hissa-e-adab āḳhir
nahīñ milā koī ye baat pūchhne vaalā
banā liyā hai ye kyā zindagī kā Dhab āḳhir
uḌā jo tā.ir-e-hastī to phir na Thahregā
'nasīm' kar to sahī koshish-e-tarab āḳhir
sawal-e-sham pe aaya jawab-e-shab aaKHir
kashidgi ka na paya magar sabab aaKHir
tumhaare gham mere KHwahan na mera apna wajud
kahan se laungi main shiddat-e-talab aaKHir
inayat un ki jo wo haal puchh len warna
kisi se un ke marasim hue hain kab aaKHir
mohabbaton ki riwayat to kaenat mein hai
tumhaari aankh hai awwal na mere lab aaKHir
tumhaare nam suKHan aur tum nahin samjhe
hamare sher hue hissa-e-adab aaKHir
nahin mila koi ye baat puchhne wala
bana liya hai ye kya zindagi ka Dhab aaKHir
uDa jo tair-e-hasti to phir na Thahrega
'nasim' kar to sahi koshish-e-tarab aaKHir
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.