sawal-e-wasl pe uzr-e-visal kar baiThe
savāl-e-vasl pe uzr-e-visāl kar baiThe
vo kis ḳhayāl se aisā ḳhayāl kar baiThe
ab aao maan bhī jaao jo kuchh huā vo huā
zarā sī baat kā itnā malāl kar baiThe
ham uThte baiThte bhī un ke paas Darte haiñ
vo aur kuchh na ilāhī ḳhayāl kar baiThe
vo is liye mire pahlū meñ baiThte hī nahīñ
ki ye kahīñ na savāl-e-visāl kar baiThe
sawal-e-wasl pe uzr-e-visal kar baiThe
wo kis KHayal se aisa KHayal kar baiThe
ab aao man bhi jao jo kuchh hua wo hua
zara si baat ka itna malal kar baiThe
hum uThte baiThte bhi un ke pas Darte hain
wo aur kuchh na ilahi KHayal kar baiThe
wo is liye mere pahlu mein baiThte hi nahin
ki ye kahin na sawal-e-visal kar baiThe
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 146)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.