sawal ko tarz-e-munfarid se uTha raha hun
savāl ko tarz-e-munfarid se uThā rahā huuñ
agar maiñ sab se judā rahā huuñ to kyā rahā huuñ
ajiib harakat hai zindagī ke jumūd meñ bhī
paḌā huuñ bistar pe aur lagtā hai jā rahā huuñ
kisī ne dekhā nahīñ hai jis ko vo ḳhvāb dekhā
jise sunāyā nahīñ gayā hai sunā rahā huuñ
ye zindagī hai agar udhar bhī jo hai idhar bhī
ho ilm kaise maiñ jā rahā huuñ ki aa rahā huuñ
kisī ne chalne kā kah diyā to nahīñ rukā maiñ
agar kisī ne kahā ki ruk jā khaḌā rahā huuñ
chabā.e jaate haiñ ek duuje ko dard aur maiñ
ye mujh ko andar maiñ us ko bāhar se khā rahā huuñ
sawal ko tarz-e-munfarid se uTha raha hun
agar main sab se juda raha hun to kya raha hun
ajib harakat hai zindagi ke jumud mein bhi
paDa hun bistar pe aur lagta hai ja raha hun
kisi ne dekha nahin hai jis ko wo KHwab dekha
jise sunaya nahin gaya hai suna raha hun
ye zindagi hai agar udhar bhi jo hai idhar bhi
ho ilm kaise main ja raha hun ki aa raha hun
kisi ne chalne ka kah diya to nahin ruka main
agar kisi ne kaha ki ruk ja khaDa raha hun
chabae jate hain ek duje ko dard aur main
ye mujh ko andar main us ko bahar se kha raha hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.