sawal raushni ka tha jawab likh rahe the hum
sawal raushni ka tha jawab likh rahe the hum
Shehzad Anjum Burhani
MORE BYShehzad Anjum Burhani
savāl raushnī kā thā javāb likh rahe the ham
paroñ pe jugnuoñ ke āftāb likh rahe the ham
jo ḳhushk lab ko tar na kar sake to raat ye huā
samundaroñ ko ḳhvāb meñ sarāb likh rahe the ham
tamām sar-bulandiyāñ thiiñ sar nigūñ khaḌī huiiñ
shikastagī-e-zāt par kitāb likh rahe the ham
to marhabā kī ik sadā haram kī samt se uThī
qasīda-e-janāb-e-bū-turāb likh rahe the ham
varaq se daf.atan hī āñsūoñ kī ik mahak uThī
ba-nām-e-'mīr' aaj intisāb likh rahe the ham
sawal raushni ka tha jawab likh rahe the hum
paron pe jugnuon ke aaftab likh rahe the hum
jo KHushk lab ko tar na kar sake to raat ye hua
samundaron ko KHwab mein sarab likh rahe the hum
tamam sar-bulandiyan thin sar nigun khaDi huin
shikastagi-e-zat par kitab likh rahe the hum
to marhaba ki ek sada haram ki samt se uThi
qasida-e-janab-e-bu-turab likh rahe the hum
waraq se dafatan hi aansuon ki ek mahak uThi
ba-nam-e-'mir' aaj intisab likh rahe the hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.