Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sawal rind ke lab par jawab shishe mein

Amar Abdabadi

sawal rind ke lab par jawab shishe mein

Amar Abdabadi

MORE BYAmar Abdabadi

    savāl rind ke lab par javāb shīshe meñ

    zabān tishna-ba-lab aur sharāb shīshe meñ

    kisī mad-bharī āñkhoñ meñ Dūbtā thā dil

    Duboyā ham ne ye ḳhāna-ḳharāb shīshe meñ

    tamanna jis hai jannat meñ shaiḳh sāhab ko

    parī vo ham ne utārī janāb shīshe meñ

    yuuñ apne 'ambarīñ hoñToñ se jaam ko chhū de

    ki jaise 'aks-fagan ho gulāb shīshe meñ

    tumhāre sāmne Thahrā hai aa.ina ho kar

    vagarna pahle kahāñ thī ye aab shīshe meñ

    dikhā na Dar hameñ roz-e-hisāb ai shaiḳh

    Dubo.e ham ne hisāb-o-kitāb shīshe meñ

    mirī ḳhudī hai haqīqat meñ be-ḳhudī merī

    hai merī ziist lubb-e-lubāb shīshe meñ

    isī pe hosh dā'vā hai ai 'amar' tum ko

    sharāb siiḳh pe Daalī kabāb shīshe meñ

    sawal rind ke lab par jawab shishe mein

    zaban tishna-ba-lab aur sharab shishe mein

    kisi ki mad-bhari aankhon mein Dubta tha dil

    Duboya hum ne ye KHana-KHarab shishe mein

    tamanna jis ki hai jannat mein shaiKH sahab ko

    pari wo hum ne utari janab shishe mein

    yun apne 'ambarin honTon se jam ko chhu de

    ki jaise 'aks-fagan ho gulab shishe mein

    tumhaare samne Thahra hai aaina ho kar

    wagarna pahle kahan thi ye aab shishe mein

    dikha na Dar hamein roz-e-hisab ka ai shaiKH

    Duboe hum ne hisab-o-kitab shishe mein

    meri KHudi hai haqiqat mein be-KHudi meri

    hai meri zist ka lubb-e-lubab shishe mein

    isi pe hosh ka da'wa hai ai 'amar' tum ko

    sharab siKH pe Dali kabab shishe mein

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now