sawal shukr-o-shikayat ka ab raha hi nahin
savāl shukr-o-shikāyat kā ab rahā hī nahīñ
vo kaj-shi.ār mirī samt dekhtā hī nahīñ
kisī meñ hausla-e-tark-e-mudda.ā hī nahīñ
ye vo mahāz hai jis par koī DaTā hī nahīñ
thamā jo ḳhair se tūfāñ to hai bhañvar aage
mire ḳhilāf samundar bhī hai havā hī nahīñ
vo jis kā ḳhauf gunāhoñ se rok detā hai
hamāre daur meñ aisī koī sazā hī nahīñ
jahāñ se pech-o-ḳham-e-rāh kā huā āġhāz
palaT ke ham ne jo dekhā to rahnumā hī nahīñ
jabīn-e-shauq batā ab kahāñ karūñ sajda
mujhe talāsh thī jis kī vo naqsh-e-pā hī nahīñ
fazā hai dañg samā.at ke us taġhayyur par
koī sadā-e-mohabbat se āshnā hī nahīñ
'nasīr' jā ke tirī anjuman se lauT aayā
gayā thā jis ke irāde se vo kahā hī nahīñ
sawal shukr-o-shikayat ka ab raha hi nahin
wo kaj-shiar meri samt dekhta hi nahin
kisi mein hausla-e-tark-e-muddaa hi nahin
ye wo mahaz hai jis par koi DaTa hi nahin
thama jo KHair se tufan to hai bhanwar aage
mere KHilaf samundar bhi hai hawa hi nahin
wo jis ka KHauf gunahon se rok deta hai
hamare daur mein aisi koi saza hi nahin
jahan se pech-o-KHam-e-rah ka hua aaghaz
palaT ke hum ne jo dekha to rahnuma hi nahin
jabin-e-shauq bata ab kahan karun sajda
mujhe talash thi jis ki wo naqsh-e-pa hi nahin
faza hai dang samaat ke us taghayyur par
koi sada-e-mohabbat se aashna hi nahin
'nasir' ja ke teri anjuman se lauT aaya
gaya tha jis ke irade se wo kaha hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.