sawal tujhse shab-o-roz mera chalta raha
savāl tujh se shab-o-roz merā chaltā rahā
javāb terā havāoñ meñ mujh ko miltā rahā
falak pe chāñd sitāroñ kā kārvāñ bhī bujhā
tumhārī yaad kā lekin charāġh jaltā rahā
qarīb-e-marg jo dekhā to paas koī na thā
tamām umr ye phir kaun saath chaltā rahā
balā ke habs meñ saarī zamīn suukh ga.ī
magar ye pyaar kā paudā thā phir bhī phaltā rahā
maiñ bevafā bhī kahūñ kis tarah tujhe jānāñ
tū ban ke bād-e-sabā roz mujh se miltā rahā
maiñ e'tibār mohabbat kā terī kyā kartā
bayān terā to har roz hī badaltā rahā
rafū maiñ kartā bhī 'aijāz' kaise zaḳhmoñ ko
zabāñ kā zaḳhm thā ye guftugū se siltā rahā
sawal tujh se shab-o-roz mera chalta raha
jawab tera hawaon mein mujh ko milta raha
falak pe chand sitaron ka karwan bhi bujha
tumhaari yaad ka lekin charagh jalta raha
qarib-e-marg jo dekha to pas koi na tha
tamam umr ye phir kaun sath chalta raha
bala ke habs mein sari zamin sukh gai
magar ye pyar ka pauda tha phir bhi phalta raha
main bewafa bhi kahun kis tarah tujhe jaanan
tu ban ke baad-e-saba roz mujh se milta raha
main e'tibar mohabbat ka teri kya karta
bayan tera to har roz hi badalta raha
rafu main karta bhi 'aijaz' kaise zaKHmon ko
zaban ka zaKHm tha ye guftugu se silta raha
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 219)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.