sawal tum log kar rahe ho ye kaise kaise musafiron se
savāl tum log kar rahe ho ye kaise kaise musāfiroñ se
thake hue haiñ ye muddatoñ ke na pūchho raste musāfiroñ se
utaar kar sab thakan ke kapḌe vo phir masāfat ko oḌhte haiñ
daraḳht kahte haiñ dukh na chalne kā jab bhī Thahre musāfiroñ se
idhar vo sahrā meñ ḳhaak dhuntā udhar vo dariyā kināre gum-sum
ajiib hote haiñ ye ta'alluq musāfiroñ ke musāfiroñ se
vo jin ke paañv ke bose le kar tavāf karte haiñ aable bhī
hamāre shajre haiñ milte jā kar ke dekho aise musāfiroñ se
thakan meñ jin kī nuqūsh-e-manzil samā chuke hoñ unheñ bulāo
hameñ milāo na regzāroñ meñ ḳhaak uḌāte musāfiroñ se
to ḳhaar paañv ke gard dāman kī us ke pahlū meñ jhaaḌ aa.e
kisī ne māñge baḌī tavaqqo se jab bhī tohfe musāfiroñ se
ruke musāfir se āsmāñ ne sukūt paayā sabāt sīkhā
zamīñ ne raqs-o-tavāf sīkhā hai raah chalte musāfiroñ se
ki yaad ghar kī jo aa ga.ī to ye do qadam bhī na chal sakeñge
na chheḌo āñgan kī baat galiyoñ kā zikr bhaTke musāfiroñ se
sawal tum log kar rahe ho ye kaise kaise musafiron se
thake hue hain ye muddaton ke na puchho raste musafiron se
utar kar sab thakan ke kapDe wo phir masafat ko oDhte hain
daraKHt kahte hain dukh na chalne ka jab bhi Thahre musafiron se
idhar wo sahra mein KHak dhunta udhar wo dariya kinare gum-sum
ajib hote hain ye ta'alluq musafiron ke musafiron se
wo jin ke panw ke bose le kar tawaf karte hain aable bhi
hamare shajre hain milte ja kar ke dekho aise musafiron se
thakan mein jin ki nuqush-e-manzil sama chuke hon unhen bulao
hamein milao na regzaron mein KHak uDate musafiron se
to KHar panw ke gard daman ki us ke pahlu mein jhaD aae
kisi ne mange baDi tawaqqo se jab bhi tohfe musafiron se
ruke musafir se aasman ne sukut paya sabaat sikha
zamin ne raqs-o-tawaf sikha hai rah chalte musafiron se
ki yaad ghar ki jo aa gai to ye do qadam bhi na chal sakenge
na chheDo aangan ki baat galiyon ka zikr bhaTke musafiron se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.