sawal ye hai sabab kis se qatl ka puchhen
savāl ye hai sabab kis se qatl kā pūchheñ
ki jis ne qatl kiyā vo hī be zabāñ niklā
amīr-e-shahr to lafzoñ ke jaal buntā hai
magar jo sach thā vo fiqroñ ke darmiyāñ niklā
hamāre baa'd bhī kyā zeb-e-dār hogā koī
yahī savāl mirā zeb-e-dāstāñ niklā
ham apnī aql ko ilzām deñ ki qismat ko
hamāre daur meñ rahzan bhī pāsbāñ niklā
jabīñ jhukī to zamīñ uTh ke ājizī se milī
jo sar uThā to bahut duur āsmāñ niklā
rahe haiñ ham to 'karāmat' ga.e dinoñ ke naqīb
ki ham se ahd nayā saḳht bad-gumāñ niklā
sawal ye hai sabab kis se qatl ka puchhen
ki jis ne qatl kiya wo hi be zaban nikla
amir-e-shahr to lafzon ke jal bunta hai
magar jo sach tha wo fiqron ke darmiyan nikla
hamare ba'd bhi kya zeb-e-dar hoga koi
yahi sawal mera zeb-e-dastan nikla
hum apni aql ko ilzam den ki qismat ko
hamare daur mein rahzan bhi pasban nikla
jabin jhuki to zamin uTh ke aajizi se mili
jo sar uTha to bahut dur aasman nikla
rahe hain hum to 'karamat' gae dinon ke naqib
ki hum se ahd naya saKHt bad-guman nikla
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.