sawalon mein KHud bhi hai Dubi udasi
savāloñ meñ ḳhud bhī hai Duubī udāsī
kahīñ le na Duube mujhe bhī udāsī
shab-o-roz chaltī hai pahlū se lag kar
gale paḌ ga.ī ek ziddī udāsī
fazāoñ kī rañgat nikharne lagī hai
huī shaam phir dil meñ lauTī udāsī
zarā chāñd kyā aayā merī taraf ko
sitāroñ ne jal-bhun ke oḌhī udāsī
shabistāñ meñ ġham kī na sham.eñ jalāo
kahīñ jaag jaa.e na soī udāsī
zarā der logoñ meñ khul kar hañsī phir
sar-e-bazm āñkhoñ se Tapkī udāsī
use yaad thī kal kī tārīḳh shāyad
sisaktī rahī le ke hichkī udāsī
jamī thī mire sard siine meñ kab se
tapish pā ke ashkoñ kī pighlī udāsī
katartī hai dil ke shajar kī ye ḳhushiyāñ
tirī yaad hai yā gilahrī udāsī
kabhī ham the jin kī duāoñ meñ shāmil
unhīñ tak na pahuñchī hamārī udāsī
tirī yaad ke ab nishāñ tak nahīñ ham
magar dil meñ rahtī hai ab bhī udāsī
nigāhoñ meñ hadd-e-nazar tak hai raqsāñ
udāsī udāsī udāsī udāsī
sawalon mein KHud bhi hai Dubi udasi
kahin le na Dube mujhe bhi udasi
shab-o-roz chalti hai pahlu se lag kar
gale paD gai ek ziddi udasi
fazaon ki rangat nikharne lagi hai
hui sham phir dil mein lauTi udasi
zara chand kya aaya meri taraf ko
sitaron ne jal-bhun ke oDhi udasi
shabistan mein gham ki na shamen jalao
kahin jag jae na soi udasi
zara der logon mein khul kar hansi phir
sar-e-bazm aankhon se Tapki udasi
use yaad thi kal ki tariKH shayad
sisakti rahi le ke hichki udasi
jami thi mere sard sine mein kab se
tapish pa ke ashkon ki pighli udasi
katarti hai dil ke shajar ki ye KHushiyan
teri yaad hai ya gilahri udasi
kabhi hum the jin ki duaon mein shamil
unhin tak na pahunchi hamari udasi
teri yaad ke ab nishan tak nahin hum
magar dil mein rahti hai ab bhi udasi
nigahon mein hadd-e-nazar tak hai raqsan
udasi udasi udasi udasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.